Sadr mein hain cheekte hue sannate
Hothon pe hain kuch lafz ruke
Dil theher-kar phir dhadakna chahta hai
Palkon pe ruka ek moti behna chahta hai
Yun samandar ki lehron se
Ufaan khaate hain jazbaat mere
Aaj jazbaat ke is samandar mein
Har ik armaan behna chahta hai
Aakhon ki chamakti bijliyaan bhi
Aaj ho gayi hain dhundli si
Har raah pe tutey patton sa bikhra
Ye patta bhi udd ke jeena chahta hai
Hothon pe hain alfaaz ruke phir bhi
Ye dil yun hi kuch kehna chahta hai
Hothon pe hain kuch lafz ruke
Dil theher-kar phir dhadakna chahta hai
Palkon pe ruka ek moti behna chahta hai
Yun samandar ki lehron se
Ufaan khaate hain jazbaat mere
Aaj jazbaat ke is samandar mein
Har ik armaan behna chahta hai
Aakhon ki chamakti bijliyaan bhi
Aaj ho gayi hain dhundli si
Har raah pe tutey patton sa bikhra
Ye patta bhi udd ke jeena chahta hai
Hothon pe hain alfaaz ruke phir bhi
Ye dil yun hi kuch kehna chahta hai
No comments :
Post a Comment